Karta hoon tujh mein din guzar main Karta hoon tujh mein shab basar Karta hoon tujh mein hi sehar mein Jeeta hoon tujhko dekh kar Dil tere bin thehra sa hai Tu dhadkano ka hai safar Kaaton bhara har rasta Phoolon ki hai tu reh guzar Jaavedaan hai ishq tujh se Jaavedaan hai jaan-o-dil ke Darmiyaan hai darmiyaan tu haan.. Jaavedaan hai ishq tujh se Jaavedaan hai tujh mein hi dil Ud raha hai aasmaan tu haan.. Sath tera jabse hai mujhko mila Waqt ki shaakhon pe har pal khila Zindagi se ab nahi koi gila.. Jitna hai tu utna hoon main Na kuchh zyada na hoon kam Tujhse hi shuru hota hoon main Hota hoon tujhpe hi khatam Jaavedaan hai ishq tujh se Jaavedaan hai jaan-o-dil ke Darmiyaan hai darmiyaan tu haan… Jaavedaan hai ishq tujhse Jaavedaan hai tujh mein hi dil Ud raha hai aasmaan tu haan… Maine tujhko is tarah se hai jiya Aandhiyon mein jaise jalta hai diya Ishq se har faasle ko tay kiya Hoke juda humse khafa Lamhe woh saare kat gaye Tum mil gaye banke subah Jo the andhere hat gaye.. Jaavedaan hai ishq tujhse Jaavedaan hai jaan-o-dil ke Darmiyaan hai darmiyaan tu haan… Jaavedaan hai ishq tujhse Jaavedaan hai tujh mein hi dil Ud raha hai aasmaan tu haan..