mera aasmaan jal gaya re chaand ko aag lagi aasman pe raakh hi raakh udi hai jal gaya mera aasmaan aankhein behti hai janiya palkein jalti hain jeene ka pal pal gaya janiya jal gaya mera aasmaan paaon mein veerana dil mein bhi ujada hai janiya jaaye kahan deewana jal gaya mera aasmaan aadhi aadhi raat mein kabhi tum neend mein bulati thi raat jal gayi woh janiya khwab jal gaya re baadlon se narm the janiya hath jo sehlate the aankhon hi se bolti thi tum honth to behlate the mera aasmaan jal gaya re chaand ko aag lagi aasman pe raakh hi raakh udi hai jal gaya mera aasmaan aag hi aag hai meri char dishaon mein pag pag pade hain chhaale ab mere paaon mein kaun se jahan mein ab tujhe jaaun khojun re mere haar jahan ka nishan jal gaya jal gaya re mera aasmaan jal gaya re chaand ko aag lagi aasman pe raakh hi raakh udi hai jal gaya mera aasmaan aankhein behti hai janiya palkein jalti hain jeene ka pal pal gaya janiya jal gaya mera aasmaan