Ra-ra-ra, ra-ra-ra Ra-ra-ra, ra-ra, ra-ra-ra-ra Tumhara mera milna likha toh hoga kahin Naseebon ka sitara mila toh hoga kahin Na jaane kyun, ae humnasheen Hai mere dil ko ye yaqeen Ki tum sang ho toh bigdi baatein saari ban jaayengi Tum jo hans do, roothi raatein saari man jaayengi Tumse behtar, tumse pyaara, yaara, koi nahin Aasmaan pe tumse roshan taara koi nahin Tumse behtar, tumse pyaara, yaara, koi nahin Aasmaan pe tumse roshan taara koi nahin Tumse behtar, tumse pyaara, yaara, koi nahin Aasmaan pe tumse roshan taara koi nahin Raaton mein bina tumhare ghabraayein, haan, ghabraayein Khwaabon mein milo agar, khush ho jaayein, ho jaayein Chain ho tum, aaram ho shayad Koi sukoon ki shaam ho shayad Khushi kahun ya dil ki tasalli Kya tumhe doon main naam Kitaabein dekhi saari, mili na koi shayari Taareefein karun kaise, yahi hai mushkil meri Na jaane kyun, ae humnasheen Hai mere dil ko ye yaqeen Ki tum sang ho toh bigdi baatein saari ban jaayengi Tum jo hans do, roothi raatein saari man jaayengi Jo daraayein, woh hawaayein gham ki tham jaayengi Tumse behtar, tumse pyaara, yaara, koi nahi Aasmaan pe tumse roshan taara koi nahin Ra-ra-ra, ra-ra-ra Ra-ra-ra, ra-ra, ra-ra-ra-ra Dekho na ye kamaal hua hai Aisa dil ka haal hua hai Dil mera tere itra mein dooba Jaise koi roomal hua hai Aisi hai khwahish dil mein mere Jaane mujhe sab naam se tere Aisi deewangi pehle nahin thi Haal ye pichle saal hua hai Tumse behtar, tumse pyaara Tumse behtar, tumse pyaara, yaara, koi nahi Aasmaan pe tumse roshan taara koi nahin Koi nahin tumse behtar, haan, tumse pyaara Haan, tumse zyada mera koi nahin