Ham intjar karenge tera kayamat tak
khuda kare ke kayamat ho aur too aaye
ham intjar karenge

bujhi bujhi si najar me teree talash liye
bhatkate phirte hai ham aap apni lash liye
yahi junu yahi dehshat ho aur too aaye
khuda kare ke kayamat ho aur too aaye
ham intjar karenge

naa denge ham tujhe iljam bewafayi kaa
magar gila toh karenge teree judayi kaa
tere khilaf shikayat ho -2 aur too aaye
khuda kare ke kayamat ho aur too aaye
ham intjar karenge

yeh jindagi tere kadmo me dal jayenge
tujh hi ko teree amanat sambhal jayenge
humara aalame rukhsat ho  aur too aaye
khuda kare ke kayamat ho aur too aaye
ham intjar karenge
    Página 1 / 1

    Letras y título
    Acordes y artista

    restablecer los ajustes
    OK