ye main ye kuu-e-daar ye tanhaayi dosto
kya tum bhi ban gaye ho tamaashaayi dosto

ye kya ke ek tir-e-malaamat na sah sake
honi hai kuu-ba-kuu abhi rusvaayi dosto

ik baar usako meri nigaahon se dekh lo
phir kud kaho ke kaun hai saudaayi dosto

wo husn-e-dil-faroz ke jaan-e-' faraaz'  hai
kalq-e-kuda hai usaki tamannaayi dosto

ye dil kata hai ya ki koyi dost kat gaya
kuchh to kaho ye kaisi sada aayi dosto
    Página 1 / 1

    Letras y título
    Acordes y artista

    restablecer los ajustes
    OK