Kandhon Se Milte Hain Kandhe

Hariharan

Composición de: Javed Akhtar/Shankar Ehsaan Loy
All:
(Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) -2  
Kunal:
Ab toh hamein aage badte hai rehna
Ab toh hamein saathi hai bas itna hi kehna  
Roop Kumar:
Ab toh hamein aage badte hain rehna
Ab toh hamein saathi hai bas itna hi kehna  
Sonu:
Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana  
Hariharan: Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana  
All:
(Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) -2  
Roop Kumar:
Nikle hain maidaan mein ham jaan hatheli par le kar  
Shankar: Ab dekho dam lenge ham jaake apni manzil par  

Sonu:
Khatron se haske khelna, itni toh ham mein himmat hai  
Kunal:
Mode kalaai maut ki, itni toh ham mein taaqat hai  
All:
Ham sarhadon ke waaste lohe ki ik deewaar hai
Ham dushmanon ke waaste hoshiyaar hai taiyaar hai  
Shankar:
Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana  
Kunal:
Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana  
All:
Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain  

Hariharan:
Josh dil mein jagaate chalo, jeet ke geet gaate chalo  
All:
Josh dil mein jagaate chalo, jeet ke geet gaate chalo  
Sonu:
Jeet ki jo tasveer banaane ham nikle hain apni lahoo se
Ham ko us mein rang bharna hai  
Shankar:
Saathi maine apne dil mein ab ye thhaan liya hai
Ya toh ab karna hai, ya toh ab marna hai  
Roop Kumar:
Chaahein angaarein barse ke bijli gire
Tu akela nahin hoga yaara mere  
Kunal:
Koyi mushkil ho ya ho koyi ho morcha
Saath har mod par honge saathi tere  
Hariharan:
Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana  
All:
Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana
Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain  

Sonu:
Ik chehra aksar mujhe yaad aata hai
Is dil ko chupke chupke woh tadpaata hai  
Hariharan:
Jab gharse koyi bhi khat aaya hai
Kaagaz ko maine bheega bheega paaya hai  
Shankar:
Palkon palkon pe yaadon ke kuch deep jaise jalte hain 
Kuch sapne aise hain, jo saath saath chalte hain  
Sonu:
Koyi sapna na toote koyi waada na toote
Tum chaaho jisse dil se woh tumse na roothhe  
Hariharan:
Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana  
Roop Kumar:
Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana  
All:
Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain  
Kunal:
Chalta hai jo ye kaarvaan, gunji si hai ye waadiyaan  
Shankar:
Hai ye zameen, ye aasmaan  
Roop Kumar:
Hai ye hawa, hai ye sama  
Sonu:
Har raste ne, har waadi ne har parbat ne sada di  
All:
Ham jeetenge ham jeetenge ham jeetenge har baazi
(Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) -4  
Shankar:
Chalta hai jo… ye kaa
Página 1 / 1

Letras y titulo
Acordes y artista

restablecer los ajustes
OK