Jaavedaan Hai

1920 Evil Returns

    Continúa después del anuncio

    Karta hoon tujh mein din guzar main
    Karta hoon tujh mein shab basar
    Karta hoon tujh mein hi sehar mein
    Jeeta hoon tujhko dekh kar

    Dil tere bin thehra sa hai
    Tu dhadkano ka hai safar
    Kaaton bhara har rasta
    Phoolon ki hai tu reh guzar

    Jaavedaan hai ishq tujh se
    Jaavedaan hai jaan-o-dil ke
    Darmiyaan hai darmiyaan tu haan..

    Continúa después del anuncio

    Jaavedaan hai ishq tujh se
    Jaavedaan hai tujh mein hi dil
    Ud raha hai aasmaan tu haan..

    Sath tera jabse hai mujhko mila
    Waqt ki shaakhon pe har pal khila
    Zindagi se ab nahi koi gila..
    Jitna hai tu utna hoon main
    Na kuchh zyada na hoon kam
    Tujhse hi shuru hota hoon main
    Hota hoon tujhpe hi khatam

    Jaavedaan hai ishq tujh se
    Jaavedaan hai jaan-o-dil ke
    Darmiyaan hai darmiyaan tu haan…
    Jaavedaan hai ishq tujhse
    Jaavedaan hai tujh mein hi dil
    Ud raha hai aasmaan tu haan…

    Maine tujhko is tarah se hai jiya
    Aandhiyon mein jaise jalta hai diya
    Ishq se har faasle ko tay kiya
    Hoke juda humse khafa
    Lamhe woh saare kat gaye
    Tum mil gaye banke subah
    Jo the andhere hat gaye..

    Jaavedaan hai ishq tujhse
    Jaavedaan hai jaan-o-dil ke
    Darmiyaan hai darmiyaan tu haan…
    Jaavedaan hai ishq tujhse
    Jaavedaan hai tujh mein hi dil
    Ud raha hai aasmaan tu haan..

    Información de la canción

    Composición:

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión