Ho Gayi Taiyaar Hamari Army

Abhijeet

    Continúa después del anuncio

    Maanegi na haar hamari army
    Ho gayi taiyaar hamari army
    Maanegi na haar hamari army

    Honsle baaroodon waale
    Saans mein hai jwaala
    Zindagi ne maara humko
    Maut ne hai paala

    Ho gayi taiyaar hamari army
    Maanegi na haar hamari army

    Sar jhukaaye baitha kyon bhula
    Mere meet muskura
    Saans koi haathon mein utha
    Naya geet gunguna
    Aandhi ko rok le toofan ko mod de
    Saare jahaan ko hum peechhe chhod de
    Aage hamesha badhti hi jaayegi
    Thehregi na yaar hamari army

    Continúa después del anuncio

    Ho gayi taiyaar hamari army

    Jaan se bhi pyaari hain humein
    Ek doosre ki jaan
    Ek duje ke liye sada
    Honge hum yahan qurbaan
    Aankhon mein khwaab hai seene mein josh hai
    Khushiyon ki raat hai ab kisko hosh hai
    Mudke kabhi bhi waapas na aayegi
    Jeetegi sau baar hamari army

    Ho gayi taiyaar hamari army

    Honsle baaroodon waale
    Saans mein hai jwaala
    Zindagi ne maara humko
    Maut ne hai paala

    Ho gayi taiyaar hamari army
    Maanegi na haar hamari army.

    Información de la canción

    Composición:

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión

    Canciones relacionadas