Gaaye Ja

Arijit Singh

    Continúa después del anuncio

    har subah sochu jaag ke kya hai karna
    shaam tak us aag ka tay hai bujhna

    abhi hi toh aankhein kholi
    poori tarah bhi nahi
    kaantein ghoomein ghadi mein hi
    bheje mujhe woh kyun kahin

    yeh samay toh na hain saga
    na mera na yeh hai tera
    to aaj ko kal pe taal ke
    keh raha mann mera

    karenge karenge aisa bhi rush kya
    hoon zara late main chhod na bass kya
    sofe pe baith ke ya toh phir lait ke
    le raha hoon abhi rooh ka zaayeka

    Continúa después del anuncio

    na hoon main phone pe
    main toh hoon zone mein
    na phaila de koyi ab yaha rayata
    na bani baat hain na bane baal hai
    gaa raha dil mera bewajah gaaye ja

    monday ke the joh blues
    unko kiya cut loose
    saadhe saat ka alarm
    baarah baje tak kiya snooze

    bill mere toh high hain
    salary bhi na aayi hai
    toh aaj ko kal ki de kasam
    keh raha mann mera, bas

    karenge karenge aisa bhi rush kya
    hoon zara late main chhod na bass kya
    sofe pe baith ke ya toh phir lait ke
    le raha hoon abhi rooh ka zaayeka

    na hoon main phone pe
    main toh hoon zone mein
    na phaila de koyi ab yaha rayata
    na bani baat hain na bane baal hai
    gaa raha dil mera bewajah gaaye ja

    gaaye ja, gaaye ja
    gaaye ja, gaaye ja
    gaaye ja, gaaye ja
    gaaye ja, gaaye ja

    Información de la canción

    Composición: Shloke Lal y Sunny M.R.

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión

    Canciones relacionadas