Khuda Na Khasta

Arijit Singh

    Continúa después del anuncio

    tukdon ki yeh tasveer hai
    tukdon mein bhi lekin haseen tehreer hai
    kehne ko yoon keh leejiye
    tewar bhari se badnuma yeh zanjeer hai

    yeh zindagi jua hai
    kisko yakeen hua hai
    baaziyan na munasib kahin badh jaaye na
    ik tarfa safar ke, lab pe yehi dua hai
    kahin na ganwara mod koi mud jaaye na

    khuda na khasta
    khuda na khasta
    kudaya khair kare
    khuda na khasta

    ik haath mein sau haath hai
    aur doosre mein ranjishein hain, jazbaat hain
    na jaane kyun iske liye
    kohraam mein kuchh itminaan si baat hai

    yeh zindagi dhuaan hai
    kisne ise chhua hai
    titliyon ki tarah shokh hai, udd jaaye na
    ek tarfa safar ke, lab pe yehi dua hai
    kahin na ganwara mod koi mud jaaye na

    Continúa después del anuncio

    khuda na khasta
    khuda na khasta
    kudaya khair kare
    khuda na khasta

    oh jeene ko jo aashiyana biyabaan hai
    oh palta ussi aashiyaane mein toofan hai

    saaiyaan, saaiyaan

    itni silvatein maazi mein padi
    jeene ki wajah unse thi badi
    o zaaya baat kyun shikwon mein karein
    adhoori hasratein dar pe hain khadi

    oh yeh zindagi nasha hai
    takleef mein maza hai
    iski fitrat mein hi jung hai, chhid jaaye na
    ik tarfa safar ke, lab pe yehi dua hai
    kahin na ganwara mod koi mud jaaye na

    khuda na khasta
    khuda na khasta
    kudaya khair kare
    khuda na khasta

    khuda na khasta
    khuda na khasta
    kudaya khair kare
    khuda na khasta

    Información de la canción

    Composición: Amitabh Bhattacharya y Shankar–Ehsaan–Loy

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión