Continúa después del anuncio

    Ab na mujhko yaad beeta
    Main toh lamhon mein jeeta
    Chala ja raha hoon
    Main kahaan pe ja raha hoon
    Kahaan hoon?

    Iss yaqeen se main yahan hoon
    Ki zamana yeh bhala hai
    Aur jo raah mein mila hai
    Thodi door jo chala hai
    Woh bhi aadmi bhala tha
    Pata tha
    Zara bas khafa tha

    Woh bhatka sa raahi mere gaanv ka hi
    Woh rasta puraana jisey yaad aana
    Zaroori tha lekin jo roya mere bin
    Wo ek mera ghar tha
    Puraana sa darr tha
    Magar ab na main apne ghar ka raha

    Safar ka hi tha main safar ka raha
    Idhar ka hi hoon na udhar ka raha
    Safar ka hi tha main safar ka raha

    Continúa después del anuncio

    Main raha
    Main raha
    Main raha

    Meel pattharon se meri dosti hai
    Chaal meri kya hai raah jaanti hai
    Jaane rozana… Zamana wohi rozana

    Shehar shehar fursaton ko bechta hoon
    Khaali haath jaata khaali laut’ta hoon
    Aise rozana.. Rozana khud se begana

    Jabse gaanv se main shehar hua
    Itna kadva ho gaya ki zehar hua
    Main toh rozana
    Na chaaha tha yeh ho jaana Maine

    Ye umrr, waqt, raasta.. Guzarta raha
    Safar ka hi tha main safar ka raha
    Idhar ka hi hoon na udhar ka raha
    Safar ka hi tha main safar ka raha

    Main raha
    Main raha
    Main rahaSafar ka hi tha main safar ka raha

    Información de la canción

    Composición:

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión

    Canciones relacionadas