Continúa después del anuncio

    yaadon ke purane album mein
    chhupa ke rakhe hain humne woh din
    gullak mein padi chavanni si
    bacha ke rakhe hain humne woh din

    na kisi manzil ki fikar thi
    zindagi jeene ki umar thi
    dosti aur doston se udhar ke din the

    woh din bhi kya din the, woo
    hmm woh din bhi kya din the, woo
    woh din bhi kya din the, woo
    hmm woh din bhi kya din the, woo

    bigde hue insaan the
    shaitan ki santaan the

    Continúa después del anuncio

    hmm lekin brother jo bhi kaho
    wo yaar hi toh jaan the

    college ki kudi se
    karne aankhein chaar ke din the
    aaye zindagi mein
    pehle pehle pyar ke din the

    woh din bhi kya din the, woo
    wo din bhi kya din the, woo
    wo din bhi kya din the

    ooh kharbuzon ko kharbuzon ki
    milli si sangat ke apne wo din
    ooh jeevan pe nayi jawaani ki
    chadi si rangat ke apne wo din

    yaad hai filmon ke purane
    r.d. burman ke wo gaane
    band ke, keyboard ke
    aur guitar ke din the

    woh din bhi kya din the, woo
    hmm woh din bhi kya din the, woo
    woh din bhi kya din the, woo
    hmm woh din bhi kya din the, woo

    Información de la canción

    Composición: Pritam y Amitabh Bhattacharya

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión

    Canciones relacionadas