Laree Choote

Call The Band

    Continúa después del anuncio

    Woh jo kehte hai na
    Jo hota hai acche ke liye hota hai
    Galat kehte hai ...

    Kismat ka khel hai sara
    Phirta tha mein awara
    Yeh kya se kya hogaya
    Chaar din ki zindagani
    Har pal ki ek nai kahani
    Kya tha mein kya ban gaya

    Kya hua jo larrri chuti
    Jeevan ki gadi looti
    Khwaab hai to mujhko naa jaga
    Zindagi ek pal mein salli
    Yun palat gai humari
    Jhooth hai tu mujhko na bataa

    Continúa después del anuncio

    Mumbai ..suna tha yahan adami
    Appni puri kismat slow track se fast track laane mein nikal deta hai
    Per dhai ghante mein meri kismat
    Aise slow track se fast track mein
    aa jayigi mene socha nahi tha
    Saza maza ban jayegi
    Yeh bhi kabhi socha nahi tha
    Last local kya chutti
    Sala puri kismast patri per aagayi

    Karlo jo bhi karna hai
    Hota hai jo hona hai
    Guzra to pal yeh phir na aayega
    Kya bura hai kya bhala hai
    Waqt hi shayaad khuda hai
    ho jane do phir dekha jayega

    Kya hua jo larrri chuti
    Jeevan ki gadi looti
    Khwaab hai to mujhko naa jaga
    Zindagi ek pal mein salli
    Yun palat gai humari
    Jhooth hai tu mujhko na bataa

    kehte hai na
    Jo hota hai acche ke liye hota hai
    Sahi kehte hai .

    Información de la canción

    Composición:

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión