Continúa después del anuncio

    tootay huway un khwabon kai
    uss dahektay sooraj tallay
    falak say jo tapkay na jo
    umeed kay qatray thay woh
    talakh ansuwon kay sailaab say
    bhee jo ho na saki num toh

    rotee thee woh
    yeh zameen
    meri maan thee woh
    khuda ka wajood
    mabood thee woh
    saya thee

    raushni bhee thee woh
    qadam tallay jannat
    meri aghosh thee woh
    jiss aasray keh liye
    rooh tarapti thee jiss kee

    Continúa después del anuncio

    jiss shama ko
    jala na sakee
    woh andhaira tha mein
    yeh gunah-gar haath
    bheek kee chah mein
    jo badhain darbadar uss kee soo

    dar rahi thee woh
    yeh zameen
    meri maan thee woh
    khuda ka wajood
    mabood thee woh
    saya thee
    raushni bhee thee woh

    qadam tallay jannat
    meri aghosh thee woh
    aankh say tapka jo ab yeh lahoo
    zakham bharnay lagay
    sar-ba-sajood hoon uss ke hazoor
    gunah dhulnay lagay

    darguzar aaj uss maan nay kiya
    faslay simatnay lagay
    wahdahoo! uss kee kokh say hoon
    aik hee nabz, aik wajood
    yeh zameen

    meri maan hai yeh
    khuda ka wajood
    mabood hai yeh
    saya thee, raushni bhee hai yeh
    qadam tallay jannat
    meri aghosh hai yeh

    Información de la canción

    Composición: Entity Paradigm

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión

    Canciones relacionadas