Ye Main Ye Kuu-E-Daar Ye Tanhaayi Dosto
Ghulam Ali
Continúa después del anuncio
ye main ye kuu-e-daar ye tanhaayi dosto
kya tum bhi ban gaye ho tamaashaayi dosto
ye kya ke ek tir-e-malaamat na sah sake
honi hai kuu-ba-kuu abhi rusvaayi dosto
Continúa después del anuncio
ik baar usako meri nigaahon se dekh lo
phir kud kaho ke kaun hai saudaayi dosto
wo husn-e-dil-faroz ke jaan-e-' faraaz' hai
kalq-e-kuda hai usaki tamannaayi dosto
ye dil kata hai ya ki koyi dost kat gaya
kuchh to kaho ye kaisi sada aayi dosto