Neele Neele Ambar Par

Kishore Kumar

    Continúa después del anuncio

    neele neele ambar par
    chaand jab aaye
    pyaar barsaaye
    humko tarsaaye
    aisa koi saathi ho
    aisa koi premi ho
    pyaas dil ki bujha jaaye

    neele neele ambar par chaand jab aaye
    pyaar barsaaye humko tarsaaye
    aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
    pyaas dil ki bujha jaaye
    neele neele ambar par chaand jab aaye
    pyaar barsaaye humko tarsaaye

    Continúa después del anuncio

    oh oonche oonche parvat
    jab choomte hain ambar ko
    pyaasa pyaasa ambar
    jab choomta hai saagar ko
    oonche oonche parvat
    jab choomte hain ambar ko
    pyaasa pyaasa ambar
    jab choomta hai saagar ko
    pyaar se kasne ko
    baahon mein basne ko
    dil mera lalchaaye
    koi to aa jaaye
    aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
    pyaas dil ki bujha jaaye
    neele neele ambar par chaand jab aaye
    pyaar barsaaye humko tarsaaye

    oh thande thande jhonke
    jab baalon ko sehlayein
    tapti tapti kirnen
    jab gaalon ko chhoo jayein
    thande thande jhonke
    jab baalon ko sehlayein
    tapti tapti kirnen
    jab gaalon ko chhoo jayein
    saanson ki garmi ko
    haathon ki narmi ko
    mera mann tarsaaye
    koi to chhoo jhaaye
    aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
    pyaas dil ki bujha jaaye
    neele neele ambar par chaand jab aaye
    pyaar barsaaye humko tarsaaye

    hey chham chham karta saawan
    boondon ke baan chalaaye
    satrangi barsaaton mein
    jab tann mann bhiga jaaye
    chham chham karta saawan
    boondon ke baan chalaaye
    satrangi barsaaton mein
    jab tann mann bhiga jaaye
    pyaar mein nahaane ko
    doob hi jaane ko
    dil mera tadpaaye
    khwaab jaga jaaye
    aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
    pyaas dil ki bujha jaaye
    neele neele ambar par chaand jab aaye
    pyaar barsaaye humko tarsaaye
    la la la

    Información de la canción

    Composición: Radha Khanna

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión