Khwaab Bankar Koi Aayega
Lata Mangeshkar
Continúa después del anuncio
choom kar raat jo sulaayegi to neend aayegi
khwaab ban kar koi aayega to neend aayegi
ab vahi a ke sulaayega to neend aayegi
khwaab ban kar ...
baat jo sirf nigaahon se kahi jaati hai
koi honthon se sunaayega to neend aayegi
khwaab ban kar ...
Continúa después del anuncio
narm zulfon ki mahak garm badan ki khushabu
chupake chupake vo churaayega to neend aayegi
khwaab ban kar ...
jism haathon ki haraarat se pighal jaayega
aag rag rag mein lagaayega to neend aayegi
khwaab ban kar ...