Khuda Bhi Aasmaan Se

Mohammed Rafi

    Continúa después del anuncio

    Khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga
    Mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga
    Khuda bhi aasmaan se

    Mussbir khud pareshaan hai ke yeh tasveer kiski hai
    Banogi jisski tum aisi haseen taqdeer kiski hai
    Kabhi woh jal raha hoga kabhi khush ho raha hoga
    Khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga
    Mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga
    Khuda bhi aasmaan se

    Continúa después del anuncio

    Zamaane-bhar ki masti ko nigaahon mein sameta hai
    Kali se jism ko kitni bahaaron mein lapeta hai
    Hua tumsa koi pehle na koi doosra hoga
    Khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga
    Mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga
    Khuda bhi aasmaan se

    Farishte bhi yahaan raaton ko aa kar ghumte honge
    Jahaan rakhti ho tum paanv jageh woh chumte honge
    Kiske dil pe kya guzri yeh wohi jaanta hoga
    Khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga
    Mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga
    Khuda bhi aasmaan se

    Información de la canción

    Composición:

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión

    Canciones relacionadas