Sawaar Loon

Monali Thakur

    Continúa después del anuncio

    Hawa ke jhonke aaj mausamon se rooth gaye
    Gulon ki shokhiyaan jo bhanwre aake loot gaye
    Badal rahi hai aaj zindagi ki chaal zara
    Issi bahaane kyun naa main bhi dil ka haal zara
    Sanwaar loon haaye sawaar loon
    Sawaar loon haaye sawaar loon (x2)

    Baramade puraane hain, nayi si dhoop hai
    Jo palke khatkhata raha hai kiska roop hai
    Shararatein kare jo aise bhoolke hijab
    Kaise usko naam se, main pukar loon
    Sawaar loon, sawaar loon
    Sawaar loon haaye sawaar loon

    Continúa después del anuncio

    Yeh saari koyalein bani hain aaj daakiyan
    Kuhu-kuhu me chitthiyan padhe mazakiyaan (x2)

    Inhe kaho ki naa chhupaaye
    Kisne hai likha bataaye,
    Uski aaj main nazar utaar loon
    Sawaar loon haaye sawaar loon
    Sawaar loon, sawaar loon!

    Hawa ke jhonke aaj mausamon se rooth gaye
    Gulon ki shokhiyaan jo bhanwre aake loot gaye
    Badal rahi hai aaj zindagi ki chaal zara
    Issi bahaane kyun naa main bhi dil ka haal zara

    Información de la canción

    Composición: Amitabh Bhattacharya

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión