Aaya Hai Mujhe Phir Yad Woh Jalim

Mukesh

    Continúa después del anuncio

    Aaya hai mujhe phir yad woh jalim, gujara jamana bachpan kaa
    hay rey akele chhod key jana, aur naa aana bachpan kaa
    aaya hai mujhe

    woh khel woh sathee woh jhule, woh daud key kehna aa chhule
    ham aaj talak bhee naa bhule, woh khwab suhana bachpan kaa
    aaya hai mujhe

    Continúa después del anuncio

    iskee sab ko pehchan nahee, yeh do din kaa mehman nahee
    mushkil hai bahut aasan nahee, yeh pyar bhulana bachpan kaa
    aaya hai mujhe.

    milkar roye fariyad kare, un bite dino kee yad kare
    aaye kash kahee mil jaye koyee, yun mit purana bachpan kaa
    aaya hai mujhe.

    Información de la canción

    Composición:

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión