Yeh Kaun Chitrakar Hai

Mukesh

    Continúa después del anuncio

    Haree haree wasundhara pe nila nila yeh gagan
    ke jis pe badalo kee palakee uda raha pawan
    dishaye dekho rangbharee, chamak rahee umang bharee
    yeh kis ne phul phul pe kiya singar hai
    yeh kaun chitrakar hai

    tapaswiyo see hain atal yeh parawato kee chotiya
    yeh sarpa see ghoomeradar, gheradar ghatiya
    dhwaja se yeh khade huye hain wariaksh dewadar ke
    galiche yeh gulab ke, bagiche yeh bahar ke
    yeh kis kavee kee kalpana kaa chamatkar hai
    yeh kaun chitrakar hai

    Continúa después del anuncio

    kudrat kee iss pavitrata ko tum nihar lo
    iss ke guno ko apne mann me tum utar lo
    chamakalo aaj lalima, apne lalat kee
    kan kan se jhankatee tumhe chhabee virat kee
    apnee toh aankh yek hai uss kee hajar hai
    yeh kaun chitrakar hai

    Información de la canción

    Composición:

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión