Meraa Dil Todane Waale

Mukesh

    Continues after the ad

    Meraa dil todane waale mere dil kee duwa lena
    mitaakar meree duniya ko nayee duniya basa lena

    mohabbat kee kasam tumako, lagee dil kee bujha lena
    hamaaree yaad jab aaye toh do aansu baha lena

    Continues after the ad

    nahee aata wafaao se, hame daaman bacha lena
    tumhee par jaan de denge kisee din aajama lena
    meraa dil todane waale mere dil kee duwa lena

    mohabbat naam hai gham ka, khushee se gham utha lena
    agar dil ko na chain aaye, toh kuchh ro ro ke ga lena
    mitaakar meree duniya ko nayee duniya basa lena
    hamaaree yaad jab aaye toh do aansu baha lena

    Song details

    Composition:

    Did you see an error?

    Enviar revisão