Leke pehla pehla pyaar

Shamshad Begum

    Continues after the ad

    Leke pehla pehla pyaar, bharke aankho mein khumaar
    Jaadu nagari se aaya hai koyi jaadugar
    Leke pehla pehla pyaar...

    Uski diwaani haay kahu kaise ho gayi
    Jaadugar chala gaya main to yaha kho gayi
    Naina jaise huwe chaar, gaya dil ka qaraar
    Jaadu nagari se aaya hai koyi jaadugar
    Leke pehla pehla pyaar...

    Tumne to dekha hoga usko sitaaro
    Aao zara mere sang milke pukaaro
    Dono hoke beqaraar, dhhundhhe tujhko mera pyaar
    Jaadu nagari se aaya hai koyi jaadugar
    Leke pehla pehla pyaar...

    Continues after the ad

    Jab se lagaaya tere pyaar ka kaajal
    Kaali kaali birha ki ratiya hain bekal
    Aaja man ke shringaar, kare bindiya pukaar
    Jaadu nagari se aaya hai koyi jaadugar
    Leke pehla pehla pyaar...

    Mukhde pe daale huwe zulfo ki badli
    Chali balkhaati kaha ruk jaa oh pagli
    Naino waali tere dwaar, leke sapane hazaar
    Jaadu nagari se aaya hai koyi jaadugar
    Leke pehla pehla pyaar...

    Chaahe koyi chamke ji chaahe koyi barse
    Bachna hai mushkil piya jaadugar se
    Dega aisa mantar maar, aakhir hogi teri haar
    Jaadu nagari se aaya hai koyi jaadugar
    Leke pehla pehla pyaar...

    Sun sun baatein teri gori muskaayi re
    Aayi aayi dekho dekho aayi hasi aayi re
    Khele hontho pe bahaar, nikla gusse se bhi pyaar
    Jaadu nagari se aaya hai koyi jaadugar
    Leke pehla pehla pyaar...

    Song details

    Composition: Majrooh Sultanpuri

    Did you see an error?

    Enviar revisão