Gham Hai Kyoon

Udit Narayan

    Continúa después del anuncio

    Ho ho, ho ho
    Gham hai kyoon, har khushi kam hai kyoon, yeh bata
    Har ghadi aankh bhi nam hai kyoon, yeh bata
    Tune kis jurm ki paayi yeh saza, ho
    Dard se dil ka sangam hai kyoon, yeh bata
    Tune kis jurm ki paayi yeh saza, ho
    Tujhpe jo sitam hua, dusron ka paap tha
    Is mein dosh hai tera kya
    Jis pe zulm ho gaya, usko hi mile saza
    Kis kitaab mein hai likha
    Tu kyoon odhe sar par ilzaamon ki chaadar
    Jab ke hai tu hi nirdosh yahan, yeh bata
    Ho ho, ho ho
    Gham hai kyoon, har khushi kam hai kyoon, yeh bata
    Har ghadi aankh bhi nam hai kyoon, yeh bata
    Naari jo bhi ho sahe, sar jhukaaye chup rahe
    Yeh rawaaj hai duniya ka
    Tu yeh reet chhod de, tu yeh rasm tod de
    Yeh ilaaj hai duniya ka
    Kyoon aansu peeti hai, kyoon dukh mein jeeti hai
    Kyoon aankhon mein gham ka hai dhuaan, yeh bata
    Ho ho, ho ho
    Gham hai kyoon, har khushi kam hai kyoon, yeh bata
    Har ghadi aankh bhi nam hai kyoon, yeh bata
    Tune kis jurm ki paayi yeh saza, ho
    Ho ho, ho ho...

    Continúa después del anuncio
    Información de la canción

    Composición:

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión