Pyaar Ka Matlab

Udit Narayan

    Continúa después del anuncio

    Pyaar ka matlab samjhegi voh
    Jab sapnon mein kho jaayegi
    Mujhko paagal karne waali - 2
    Khud bhi paagal ho jaayegi
    La la ra la la la la - 4
    Uske chehre ko maine padha hai
    Kaun yeh usko bataaye
    Uski aankhen to kehti hai mujhse
    Laakh voh mujhse chhupaaye
    Pyaar hai usko bhi, maanegi voh us din - 2
    Jis din mere seene pe voh
    Sar ko rakhkar so jaayegi
    Mujhko paagal karne waali - 2
    Khud bhi paagal ho jaayegi
    La la ra la la la la - 4
    Roz milta hoon us dilrooba se
    Phir bhi dil mera bhare na
    Log kehte main uspe fida hoon
    Voh yakeen mujhpe kare na
    Jaan pe ban gayi, ban gayi hai jaan pe - 2
    Jaan ka rona ab kya roye
    Jaani hogi to jaayegi
    Mujhko paagal karne waali - 2
    Khud bhi paagal ho jaayegi
    La la ra la la la la - 4
    Pyaar ka matlab samjhegi voh
    Jab sapnon mein kho jaayegi
    Mujhko paagal karne waali - 2
    Khud bhi paagal ho jaayegi
    La la ra la la la la - 4

    Continúa después del anuncio
    Información de la canción

    Composición:

    ¿Los datos están equivocados?

    Enviar revisión