Cifra Club

Ek Charraiya

Arijit Singh

Aún no tenemos los acordes de esta canción.

ek chiraiya ghonsle ko chhod udd udd jaaye
aur ye soche kaash aisa ho kadam mud jaaye

ik chiraiya ghonsle ko chhod ud ud jaaye
aur ye soche kaash aisa ho kadam mud jaaye

tinka tinka kar batora aur banaaya ghar
par samay ki barishon ne kar diya beghar
kar diya beghar, kar diya beghar

oh musafir dheer dhar
aayega sooraj idhar
kaahe bhaage, kaahe bhaage
door jitna jaayega
laut phir naa paayega
kaahe bhaage, kaahe bhaage

ek charraiya ko paraaya des kaise bhaaye
gaaon ka peepal puraana yaad usko aaye
tinka tinka kar batora aur banaaya ghar
par samay ki barishon ne kar diya beghar
kar diya beghar, kar diya beghar

yeh jo asuan ki ladi
beh rahi hai har ghadi
tere aage, tere aage
yaad rakh har mod par
ek nayi subah khadi
kaahe bhage, kaahe bhaage

ik chiraiya aansuon se lad jhagad so jaaye
raah pathreeli hai lekin hausla na jaaye
tinka tinka kar batora aur banaaya ghar
par samay ki baarishon ne kar diya beghar
kar diya beghar, kar diya beghar

Otros videos de esta canción
    0 visualizaciones

    Afinación de los acordes

    Afinador en línea

    Ops (: Contenido disponible solo en portugués.
    OK