Tujhko yaad karoon main duaon mein
Tere paas wahin, nahi door hoon main
Tere dil mein mujhe bas rehna hai
Ab tujhko bataon kaise?
Mujhe bhula diya tune khayalon se
Thodi si dil mein jagah do mujhe
Na koi saath tha, main tere paas tha
Mujhe hai phir se hi chahna tujhe
Mujhe yaad rakhna, o mere sanam
Tu saath nibhana tujhe waasta
Mila na koi mujhko jo tere jaisa
Mere saathiya
To jo mera na hua toh kiss kaam ka hoon main?
Tere liya zindagi hai, tere naam hua main
Tera mujhe tadapaana, aise mujhe aazmaana
Kya mohabbat ki hai yeh sile?
Khuda, tu bata, mohabbat hai kya?
Kabhi zindagi, kabhi hai fanaa
Na us ke bina jiya jayega
Karoon kya, Khuda?
Tere nainon mеin jo hai baat na
Hai khamosh karti mujhe
Saari raat kyun rahoon main jaaga
Teri qasmein satayеin mujhe
Mujhe yaad rakhna, o mere sanam
Tu saath nibhana tujhe waasta
Mila na koi mujhko jo tere jaisa
Mere saathiya
Mera tu hi tha sahara
Tere saath jiya main
Mera dil tha awaara
Jo bhi kaam kiya main
Mera kehna na maana
Tera mujhko sataana
Kyunke farq nahi parhta tujhe
Khuda, tu bata, mohabbat hai kya?
Kabhi zindagi, kabhi hai fanaa
Na us ke bina jiya jayega
Karoon kya, Khuda?
Mere nainon mein tu
Tere dil mein jagah
Kabhi dil se bhula na mujhe
Na koi tere siva yahan mila mujhe
Puri duniya mein chahun tujhe